dam-ba-KHud hai chandni chup-chap hain ashjar bhi
dam-ba-ḳhud hai chāñdnī chup-chāp haiñ ashjār bhī
aaj kī shab tham ga.ī kyuuñ vaqt kī raftār bhī
ziist kī naav na jaane kis kināre jā lage
malgajī sī dhund hai is paar bhī us paar bhī
dil kī bāteñ kahne vaale aur āhista zarā
gosh-bar-āvāz hai koī pas-e-dīvār bhī
āñsuoñ kā abr vo barsā ki sab kuchh bah gayā
hasratoñ ke shahr bhī zaḳhmoñ ke lāla-zār bhī
dam-ba-KHud hai chandni chup-chap hain ashjar bhi
aaj ki shab tham gai kyun waqt ki raftar bhi
zist ki naw na jaane kis kinare ja lage
malgaji si dhund hai is par bhi us par bhi
dil ki baaten kahne wale aur aahista zara
gosh-bar-awaz hai koi pas-e-diwar bhi
aansuon ka abr wo barsa ki sab kuchh bah gaya
hasraton ke shahr bhi zaKHmon ke lala-zar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.