dam bhar bhi jo ho jae mulaqat bahut hai
dam bhar bhi jo ho jae mulaqat bahut hai
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
dam bhar bhī jo ho jaa.e mulāqāt bahut hai
do bāteñ bhī vo kar leñ to ye baat bahut hai
lutf āj-kal aatā hai sivā bāda-kashī kā
matbū mujhe is liye barsāt bahut hai
din bhar to judā.ī meñ taḌapte hue guzrā
jaate ho kahāñ Thahro abhī raat bahut hai
kyoñ bul-havasoñ meñ vo mujhe ginte haiñ yā-rab
ishq aur havas meñ to munāfāt bahut hai
do ghūñT bhī hai ġham ke ġhalat karne ko kaafī
thoḌī sī bhī saaqī kī mudārāt bahut hai
ai dil unheñ Dar hai kahīñ badnām na ho jaa.eñ
ye chorī chhupe kī bhī mulāqāt bahut hai
nāseh tirī bak-bak se to sar phir gayā apnā
mohmal ye bahut hai ye ḳharābāt bahut hai
raushan hue chaudah tabaq ik jaam se tere
ehsān terā pīr-e-ḳharābāt bahut hai
dil le ke mirā jī vo baḌhāte haiñ ye kah kar
ho dil se to thoḌī sī bhī sauġhāt bahut hai
mujh mast ko kyā saltanat-e-jam kī tamanna
ḳhidmat tirī ai pīr-e-ḳharābāt bahut hai
rahtā hai 'ḳhayāl' aap kā har-vaqt sanā-ḳhvāñ
īmān kī hai baat ḳhush-auqāt bahut hai
dam bhar bhi jo ho jae mulaqat bahut hai
do baaten bhi wo kar len to ye baat bahut hai
lutf aaj-kal aata hai siwa baada-kashi ka
matbu mujhe is liye barsat bahut hai
din bhar to judai mein taDapte hue guzra
jate ho kahan Thahro abhi raat bahut hai
kyon bul-hawason mein wo mujhe ginte hain ya-rab
ishq aur hawas mein to munafat bahut hai
do ghunT bhi hai gham ke ghalat karne ko kafi
thoDi si bhi saqi ki mudaraat bahut hai
ai dil unhen Dar hai kahin badnam na ho jaen
ye chori chhupe ki bhi mulaqat bahut hai
naseh teri bak-bak se to sar phir gaya apna
mohmal ye bahut hai ye KHarabaat bahut hai
raushan hue chaudah tabaq ek jam se tere
ehsan tera pir-e-KHarabaat bahut hai
dil le ke mera ji wo baDhate hain ye kah kar
ho dil se to thoDi si bhi saughat bahut hai
mujh mast ko kya saltanat-e-jam ki tamanna
KHidmat teri ai pir-e-KHarabaat bahut hai
rahta hai 'KHayal' aap ka har-waqt sana-KHwan
iman ki hai baat KHush-auqat bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.