dam dilason mein rakha dam bhi nikalne na diya
dam dilāsoñ meñ rakhā dam bhī nikalne na diyā
kushta-e-nāz jo sañbhlā to sañbhalne na diyā
uf taġhāful ki tasavvur meñ bhī aane se gurez
do ghaḌī yuuñ bhī mire jī ko bahalne na diyā
kyā 'ajab koī sukūñ kā bhī nikaltā pahlū
kyā kareñ dard ne pahlū hī badalne na diyā
zer-e-dīvār paḌe the jo uThāyā us ne
zo'f ne chaar qadam bhī hameñ chalne na diyā
bazm meñ darpa.e-tash.hīr thī shoḳhī un kī
vo to kahiye dil-e-nādāñ ko machalne na diyā
sang-e-tiflāñ bhī sahe minnat-e-darbān bhī kī
havas-e-dīd ne dar se tire Talne na diyā
'ḳhār' kyā jāniye kyā bair hai is duniyā ko
gulban-e-'ishq kabhī phūlne phalne na diyā
dam dilason mein rakha dam bhi nikalne na diya
kushta-e-naz jo sanbhla to sanbhalne na diya
uf taghaful ki tasawwur mein bhi aane se gurez
do ghaDi yun bhi mere ji ko bahalne na diya
kya 'ajab koi sukun ka bhi nikalta pahlu
kya karen dard ne pahlu hi badalne na diya
zer-e-diwar paDe the jo uThaya us ne
zo'f ne chaar qadam bhi hamein chalne na diya
bazm mein darpae-tashhir thi shoKHi un ki
wo to kahiye dil-e-nadan ko machalne na diya
sang-e-tiflan bhi sahe minnat-e-darban bhi ki
hawas-e-did ne dar se tere Talne na diya
'KHar' kya jaaniye kya bair hai is duniya ko
gulban-e-'ishq kabhi phulne phalne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.