dam-e-āḳhir bhī shikva kyā na kartā
tumhīñ batlāo martā kyā na kartā
sahar kī shaam se juuñ shām-e-giryāñ
jigar thā aab rotā kyā na kartā
agar rahtā na chup pesh-e-nakīrain
maiñ kyā kartā akelā kyā na kartā
qazā kā Dar na hotā gar bashar ko
ḳhudā jaane ye banda kyā na kartā
zabāñ hotī jo goyā har sanam 'shād'
ḳhudāvandī kā da.avā kyā na kartā
dam-e-aKHir bhi shikwa kya na karta
tumhin batlao marta kya na karta
sahar ki sham se jun sham-e-giryan
jigar tha aab rota kya na karta
agar rahta na chup pesh-e-nakirain
main kya karta akela kya na karta
qaza ka Dar na hota gar bashar ko
KHuda jaane ye banda kya na karta
zaban hoti jo goya har sanam 'shad'
KHudawandi ka dawa kya na karta
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 105)
- Author : فرحت احساس
-
Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
(2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.