dam-e-nim-shab kul faza so rahi hai
dam-e-nīm-shab kul fazā so rahī hai
ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ havā so rahī hai
shikasta sitāroñ ko niiñd aa rahī hai
hazīñ TimTimātī ziyā so rahī hai
mukammal ḳhamoshī hai har raqs-gah meñ
lab-e-chañg-o-nai par navā so rahī hai
zamīñ se falak tak falak se zamīñ tak
ba-rang-e-taḳhayyul duā so rahī hai
na jaane kahāñ ishq sustā rahā hai
kahāñ zindagī kī adā so rahī hai
koī ruup dil meñ mire so rahā hai
kañval meñ qamar kī ziyā so rahī hai
ḳhudā ke liye tū bhī ab so jā 'az.har'
sivā tere ḳhalq-e-ḳhudā so rahī hai
dam-e-nim-shab kul faza so rahi hai
KHiraman KHiraman hawa so rahi hai
shikasta sitaron ko nind aa rahi hai
hazin TimTimati ziya so rahi hai
mukammal KHamoshi hai har raqs-gah mein
lab-e-chang-o-nai par nawa so rahi hai
zamin se falak tak falak se zamin tak
ba-rang-e-taKHayyul dua so rahi hai
na jaane kahan ishq susta raha hai
kahan zindagi ki ada so rahi hai
koi rup dil mein mere so raha hai
kanwal mein qamar ki ziya so rahi hai
KHuda ke liye tu bhi ab so ja 'azhar'
siwa tere KHalq-e-KHuda so rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.