dam-e-subh pi li sar-e-sham pi li
dam-e-sub.h pī lī sar-e-shām pī lī
agar mil ga.ī ek do jaam pī lī
na āġhāz sochā na anjām pī lī
rakhā ham ne piine se bas kaam pī lī
maiñ ai shaiḳh insān hī to huuñ āḳhir
ghaTāoñ ne phailā diye daam pī lī
zamāne kī be-rahm gardish ke hāthoñ
na paayā jahāñ meñ jo ārām pī lī
kabhī ham ne sāġhar pe sāġhar luñDhā.e
kabhī ham ne durd-e-tah-e-jām pī lī
tirī rahmatoñ ke bharose pe ham ne
ka.ī baar le kar tirā naam pī lī
mai-e-lāla-gūñ ke piyāle meñ ham ne
jo dekhā ruḳh-e-māh-e-gulfām pī lī
ḳhudā se na jhijhke to duniyā kā Dar kyā
jo piine pe aa.e sar-e-ām pī lī
kisī shoḳh kī mast āñkhoñ ne 'sā.ib'
diyā bāda-noshī kā paiġhām pī lī
dam-e-subh pi li sar-e-sham pi li
agar mil gai ek do jam pi li
na aaghaz socha na anjam pi li
rakha hum ne pine se bas kaam pi li
main ai shaiKH insan hi to hun aaKHir
ghaTaon ne phaila diye dam pi li
zamane ki be-rahm gardish ke hathon
na paya jahan mein jo aaram pi li
kabhi hum ne saghar pe saghar lunDhae
kabhi hum ne durd-e-tah-e-jam pi li
teri rahmaton ke bharose pe hum ne
kai bar le kar tera nam pi li
mai-e-lala-gun ke piyale mein hum ne
jo dekha ruKH-e-mah-e-gulfam pi li
KHuda se na jhijhke to duniya ka Dar kya
jo pine pe aae sar-e-am pi li
kisi shoKH ki mast aankhon ne 'saib'
diya baada-noshi ka paigham pi li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.