damakta hai sar-e-nok-e-sinan koi sitara
damaktā hai sar-e-nok-e-sināñ koī sitāra
hamārā ham-nafas yā ham-zabāñ koī sitāra
hamārī hijratoñ kā ḳhātma mumkin nahīñ hai
hamāre saath hai be-ḳhānumāñ koī sitāra
faqat āñkheñ charāġhoñ kī tarah se jal rahī haiñ
kisī kī dastaras meñ hai kahāñ koī sitāra
ham apnī khoj meñ jis markaze ko jā rahe haiñ
abhī pahuñchā na ho shāyad vahāñ koī sitāra
hamāre har taraf jo raat ne khīñchā huā hai
usī ik dā.ere meñ hai ravāñ koī sitāra
ajab kyā mash.aleñ le kar hamārā muntazir ho
pas-e-dīvār-e-shab girya-kunāñ koī sitāra
kisī kī chashm-e-tar se be-muhāba jhāñktā hai
samundar kī tarah se be-karāñ koī sitāra
jahāñ zor-e-havā kashtī ulaTnā chāhtā hai
vahīñ thāme hue hai bādbāñ koī sitāra
vo raqs-e-marg hai lamhoñ kī nabzeñ TūTtī haiñ
magar is raqs meñ hai ḳhush-gumāñ koī sitāra
zamīñ to paañv se 'at.har' nikaltī jā rahī hai
sañbhāle ab zamām-e-āsmāñ koī sitāra
damakta hai sar-e-nok-e-sinan koi sitara
hamara ham-nafas ya ham-zaban koi sitara
hamari hijraton ka KHatma mumkin nahin hai
hamare sath hai be-KHanuman koi sitara
faqat aankhen charaghon ki tarah se jal rahi hain
kisi ki dastaras mein hai kahan koi sitara
hum apni khoj mein jis markaze ko ja rahe hain
abhi pahuncha na ho shayad wahan koi sitara
hamare har taraf jo raat ne khincha hua hai
usi ek daere mein hai rawan koi sitara
ajab kya mashalen le kar hamara muntazir ho
pas-e-diwar-e-shab girya-kunan koi sitara
kisi ki chashm-e-tar se be-muhaba jhankta hai
samundar ki tarah se be-karan koi sitara
jahan zor-e-hawa kashti ulaTna chahta hai
wahin thame hue hai baadban koi sitara
wo raqs-e-marg hai lamhon ki nabzen TuTti hain
magar is raqs mein hai KHush-guman koi sitara
zamin to panw se 'athar' nikalti ja rahi hai
sanbhaale ab zamam-e-asman koi sitara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.