dang hun fareb-kari ke ambar dekh kar
dañg huuñ fareb-kārī ke ambār dekh kar
chehre pe aur chehroñ kī bhar-mār dekh kar
mujh se nazar churātī rahī merī muflisī
yūsuf ko aaj phir sar-e-bāzār dekh kar
milne mujhe bhī aa.ī thī ik shām-e-zindagī
mujh se lipaT ke roī thī lāchār dekh kar
dang hun fareb-kari ke ambar dekh kar
chehre pe aur chehron ki bhar-mar dekh kar
mujh se nazar churaati rahi meri muflisi
yusuf ko aaj phir sar-e-bazar dekh kar
milne mujhe bhi aai thi ek sham-e-zindagi
mujh se lipaT ke roi thi lachaar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.