dar-asl kar gai hain dil mein ghar teri aankhen
dar-asl kar ga.ī haiñ dil meñ ghar tirī āñkheñ
haiñ muddatoñ se mirī ham-safar tirī āñkheñ
sunā hai lutf-o-‘ināyat hai aur logoñ par
hamāre haal se haiñ be-ḳhabar tirī āñkheñ
añdhere kā koī nām-o-nishān hī na rahe
udhar ho raushnī dekheñ jidhar tirī āñkheñ
ye aur baat ki iz.hār ho nahīñ saktā
nigāh-o-dil meñ basī haiñ magar tirī āñkheñ
mujhe bhī to ka.ī ash'ār shab meñ kahne the
pareshāñ kartī rahīñ rāt-bhar tirī āñkheñ
tasavvurāt meñ jaarī rahā safar 'adnān'
judā huiiñ na kisī moḌ par tirī āñkheñ
dar-asl kar gai hain dil mein ghar teri aankhen
hain muddaton se meri ham-safar teri aankhen
suna hai lutf-o-‘inayat hai aur logon par
hamare haal se hain be-KHabar teri aankhen
andhere ka koi nam-o-nishan hi na rahe
udhar ho raushni dekhen jidhar teri aankhen
ye aur baat ki izhaar ho nahin sakta
nigah-o-dil mein basi hain magar teri aankhen
mujhe bhi to kai ash'ar shab mein kahne the
pareshan karti rahin raat-bhar teri aankhen
tasawwuraat mein jari raha safar 'adnan'
juda huin na kisi moD par teri aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.