dar-ba-dar bhaTka main uski aarzu ke waste
dar-ba-dar bhaTkā maiñ us kī aarzū ke vāste
hasrateñ bhī ham-safar thiiñ justujū ke vāste
vo nigāhoñ meñ samāyā sabz mausam kī tarah
muntazir thā dasht-e-dil bhī rang-o-bū ke vāste
sho.ala-ruḳh kī tund-ḳhūī umr bhar sahnī paḌī
kī tamanna maiñ ne jo us ḳhūb-rū ke vāste
luT chukā sab kuchh junūñ meñ us vafā ke naam par
daaġh hai poshīda jis kī aabrū ke vāste
maut ke raahī haiñ ham raḳht-e-safar kuchh bhī nahīñ
gum hue haiñ hast meñ jām-o-subū ke vāste
ho lahū se tar libās-e-dil to 'sālim' kyā ilaaj
kyā karūñ zaḳhm-e-tamannā ke rafū ke vāste
dar-ba-dar bhaTka main us ki aarzu ke waste
hasraten bhi ham-safar thin justuju ke waste
wo nigahon mein samaya sabz mausam ki tarah
muntazir tha dasht-e-dil bhi rang-o-bu ke waste
shoala-ruKH ki tund-KHui umr bhar sahni paDi
ki tamanna main ne jo us KHub-ru ke waste
luT chuka sab kuchh junun mein us wafa ke nam par
dagh hai poshida jis ki aabru ke waste
maut ke rahi hain hum raKHt-e-safar kuchh bhi nahin
gum hue hain hast mein jam-o-subu ke waste
ho lahu se tar libas-e-dil to 'salim' kya ilaj
kya karun zaKHm-e-tamanna ke rafu ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.