dar-ba-dar phirta hun par un ko nahin pata hun main
dar-ba-dar phirta hun par un ko nahin pata hun main
Raheemullah Shad
MORE BYRaheemullah Shad
dar-ba-dar phirtā huuñ par un ko nahīñ paatā huuñ maiñ
ek shīsha hai ki har patthar se Takrātā huuñ maiñ
tāq-e-nisyāñ ho ga.iiñ ab zindagī kī shoḳhiyāñ
kah nahīñ saktā magar sab kuchh kahe jaatā huuñ maiñ
kārvān-e-zindagī ruk ruk ke kyoñ chalne lagā
chal nahīñ saktā magar phir bhī chalā jaatā huuñ maiñ
munfarid hai ye ġhazal aur tarah kā misrā bhī hai
koī kātib likhtā jaa.e jo bhī likhvātā huuñ maiñ
aag kā dariyā hai aur ye Duub kar jaanā bhī hai
tairtā jaatā huuñ jitnā Dūbtā jaatā huuñ maiñ
zindagī meñ 'shād' kī hai shādmānī kā samāñ
har qadam har moḌ par ik zindagī paatā huuñ maiñ
dar-ba-dar phirta hun par un ko nahin pata hun main
ek shisha hai ki har patthar se Takraata hun main
taq-e-nisyan ho gain ab zindagi ki shoKHiyan
kah nahin sakta magar sab kuchh kahe jata hun main
karwan-e-zindagi ruk ruk ke kyon chalne laga
chal nahin sakta magar phir bhi chala jata hun main
munfarid hai ye ghazal aur tarah ka misra bhi hai
koi katib likhta jae jo bhi likhwata hun main
aag ka dariya hai aur ye Dub kar jaana bhi hai
tairta jata hun jitna Dubta jata hun main
zindagi mein 'shad' ki hai shadmani ka saman
har qadam har moD par ek zindagi pata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.