dar-ba-dar phirta tha jab-tab tujhe aabaad kiya
dar-ba-dar phirtā thā jab-tab tujhe ābād kiyā
kyā bigāḌā thā tirā kyuuñ mujhe barbād kiyā
jis tarah kartā hai tū ḳhūn-e-tamannā merā
kyā kabhī maiñ ne bhī aise tujhe nāshād kiyā
zaḳhm jo tū ne diye the haiñ abhī tak taaza
jab chalī sard havā maiñ ne tujhe yaad kiyā
is se behtar thā ki tū qaid hī rakhtā mujh ko
par katar kar mirā kyuuñ baaġh meñ āzād kiyā
zindagī khel nahīñ hai jise bachchoñ kī tarah
kabhī ābād kiyā aur kabhī barbād kiyā
zeb detā hai tujhe mufsid-e-daurāñ kā ḳhitāb
nāravā thā jo vo kyuuñ ai sitam-ījād kiyā
bāġhbāñ jis ko banāyā thā usī ne 'barqī'
sahn-e-gulshan meñ bapā nāla-o-fariyād kiyā
dar-ba-dar phirta tha jab-tab tujhe aabaad kiya
kya bigaDa tha tera kyun mujhe barbaad kiya
jis tarah karta hai tu KHun-e-tamanna mera
kya kabhi main ne bhi aise tujhe nashad kiya
zaKHm jo tu ne diye the hain abhi tak taza
jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
is se behtar tha ki tu qaid hi rakhta mujh ko
par katar kar mera kyun bagh mein aazad kiya
zindagi khel nahin hai jise bachchon ki tarah
kabhi aabaad kiya aur kabhi barbaad kiya
zeb deta hai tujhe mufsid-e-dauran ka KHitab
narawa tha jo wo kyun ai sitam-ijad kiya
baghban jis ko banaya tha usi ne 'barqi'
sahn-e-gulshan mein bapa nala-o-fariyaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.