dar-e-imkan se guzar kar sar-e-manzar aa kar
dar-e-imkāñ se guzar kar sar-e-manzar aa kar
ham 'ajab lahr meñ haiñ apne na.e ghar aa kar
jise jaanā hī nahīñ apne kināroñ se judā
use dekhā bhī nahīñ mauj se bāhar aa kar
ātish-e-ġham pe nazar kī hai kuchh aise ki ye aañch
baat kar saktī hai ab mire barābar aa kar
tū ne kis harf ke āhang meñ Dhālā thā mujhe
saañs bhī TuuT rahā hai sar-e-mahzar aa kar
use dekhā thā ḳhat-e-ḳhvāb ke us paar kabhī
ye sitāra jo girā hai mire andar aa kar
ik sadā koh-e-nidā se kisī apne kī sadā
rone lag jaatī hai is dasht meñ aksar aa kar
shāḳh-tā-shāḳh 'ajab 'ālam-e-vahshat hai abhī
tā.ir-e-jāñ kabhī Thahrā thā mire ghar aa kar
dar-e-imkan se guzar kar sar-e-manzar aa kar
hum 'ajab lahr mein hain apne nae ghar aa kar
jise jaana hi nahin apne kinaron se juda
use dekha bhi nahin mauj se bahar aa kar
aatish-e-gham pe nazar ki hai kuchh aise ki ye aanch
baat kar sakti hai ab mere barabar aa kar
tu ne kis harf ke aahang mein Dhaala tha mujhe
sans bhi TuT raha hai sar-e-mahzar aa kar
use dekha tha KHat-e-KHwab ke us par kabhi
ye sitara jo gira hai mere andar aa kar
ek sada koh-e-nida se kisi apne ki sada
rone lag jati hai is dasht mein aksar aa kar
shaKH-ta-shaKH 'ajab 'alam-e-wahshat hai abhi
tair-e-jaan kabhi Thahra tha mere ghar aa kar
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 61)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.