dar-e-mai-kada hai khula hua sar-e-charKH aaj ghaTa bhi hai
dar-e-mai-kada hai khula hua sar-e-charKH aaj ghaTa bhi hai
Sardar Khan Soz
MORE BYSardar Khan Soz
dar-e-mai-kada hai khulā huā sar-e-charḳh aaj ghaTā bhī hai
chale daur-e-sāqī-e-dilrubā ki chaman meñ raqs-e-sabā bhī hai
ġham-e-zindagī sahī jāñ-gusil magar is se koī bachā bhī hai
yahī ġham hai rāz-e-nashāt-e-dil yahī zindagī kā mazā bhī hai
yahī zaḳhm-e-dil jo nasīb hai yahī soz-e-dil kā naqīb hai
ye mire ḳhulūs kā rañg hai kisī nāznīñ kī atā bhī hai
hai mirī nigāh meñ sirf tū kisī aur kī nahīñ justujū
tire iltifāt kī aarzū tirī be-ruḳhī kā gilā bhī hai
mujhe kyā uḌā.eñge bāl-o-par ki qafas meñ umr huī basar
maiñ rihā huā bhī kabhī agar to rihā.ī merī sazā bhī hai
mirī dāstāñ bhī ajiib hai ye kisī kisī kā nasīb hai
kahīñ zikr-e-bād-e-sumūm hai kahīñ zikr-e-mauj-e-sabā bhī hai
na tū uzv-e-jāh pe faḳhr kar ki ye zindagī to hai ik safar
tujhe kyā ḳhabar are be-ḳhabar dabe paañv pīchhe qazā bhī hai
jo bahār fasl-e-shabāb thī vo misāl-e-abr guzar ga.ī
nahīñ zindagī meñ koī ḳhushī ki ḳhilāf mere havā bhī hai
vo ba-zo.am-e-husn haiñ ḳhud-nigar to mujhe bhī naaz hai ishq par
maiñ niyāz-mand sahī magar mujhe 'soz' pās-e-anā bhī hai
dar-e-mai-kada hai khula hua sar-e-charKH aaj ghaTa bhi hai
chale daur-e-saqi-e-dilruba ki chaman mein raqs-e-saba bhi hai
gham-e-zindagi sahi jaan-gusil magar is se koi bacha bhi hai
yahi gham hai raaz-e-nashat-e-dil yahi zindagi ka maza bhi hai
yahi zaKHm-e-dil jo nasib hai yahi soz-e-dil ka naqib hai
ye mere KHulus ka rang hai kisi naznin ki ata bhi hai
hai meri nigah mein sirf tu kisi aur ki nahin justuju
tere iltifat ki aarzu teri be-ruKHi ka gila bhi hai
mujhe kya uDaenge baal-o-par ki qafas mein umr hui basar
main riha hua bhi kabhi agar to rihai meri saza bhi hai
meri dastan bhi ajib hai ye kisi kisi ka nasib hai
kahin zikr-e-baad-e-sumum hai kahin zikr-e-mauj-e-saba bhi hai
na tu uzw-e-jah pe faKHr kar ki ye zindagi to hai ek safar
tujhe kya KHabar are be-KHabar dabe panw pichhe qaza bhi hai
jo bahaar fasl-e-shabab thi wo misal-e-abr guzar gai
nahin zindagi mein koi KHushi ki KHilaf mere hawa bhi hai
wo ba-zoam-e-husn hain KHud-nigar to mujhe bhi naz hai ishq par
main niyaz-mand sahi magar mujhe 'soz' pas-e-ana bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.