dar-haqiqat hai ye sazish hadisa kahne ko hai
dar-haqīqat hai ye sāzish hādisa kahne ko hai
ab hamāre paas kyā is ke sivā kahne ko hai
kyā junūñ hai rāh-e-manzil meñ chubhe har ḳhaar ko
paañv kā har aabla bhī marhabā kahne ko hai
ham ko hai taslīm terī baat lekin jaan le
ye sarāsar zid hai terī iltijā kahne ko hai
ye tire tīr-e-nazar us par tirī zulmī adā
dil kā har ik zaḳhm terā shukriya kahne ko hai
ab to ye tūfāñ thame yā phir muqaddar saath de
sab ummīdeñ haiñ ḳhudā se nāḳhudā kahne ko hai
anjuman meñ hai tavajjoh sab kī yuuñ terī taraf
'rāz' tū kyā kah rahā hai aur kyā kahne ko hai
dar-haqiqat hai ye sazish hadisa kahne ko hai
ab hamare pas kya is ke siwa kahne ko hai
kya junun hai rah-e-manzil mein chubhe har KHar ko
panw ka har aabla bhi marhaba kahne ko hai
hum ko hai taslim teri baat lekin jaan le
ye sarasar zid hai teri iltija kahne ko hai
ye tere tir-e-nazar us par teri zulmi ada
dil ka har ek zaKHm tera shukriya kahne ko hai
ab to ye tufan thame ya phir muqaddar sath de
sab ummiden hain KHuda se naKHuda kahne ko hai
anjuman mein hai tawajjoh sab ki yun teri taraf
'raaz' tu kya kah raha hai aur kya kahne ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.