dar hi khula na koi daricha hi wa hua
dar hī khulā na koī darīcha hī vā huā
guzrā thā kaun idhar se abhī chīḳhtā huā
phir ek raat jaag ke tanhā guzār dī
phir aaj din meñ ek baje nāshta huā
sar dukh rahā thā dil bhī pareshān thā bahut
maiñ so gayā thā raat use sochtā huā
ye kis kī vahshateñ haiñ jo nāzil haiñ aap par
jānāñ kahāñ gayā vo badan boltā huā
mazmūn-e-vasl-o-hijr to maazī kī baat hai
taaza ḳhayāl laao koī jāgtā huā
dar hi khula na koi daricha hi wa hua
guzra tha kaun idhar se abhi chiKHta hua
phir ek raat jag ke tanha guzar di
phir aaj din mein ek baje nashta hua
sar dukh raha tha dil bhi pareshan tha bahut
main so gaya tha raat use sochta hua
ye kis ki wahshaten hain jo nazil hain aap par
jaanan kahan gaya wo badan bolta hua
mazmun-e-wasl-o-hijr to mazi ki baat hai
taza KHayal lao koi jagta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.