Dar ke baiTha hun sar-nigun wahshat
Dar ke baiThā huuñ sar-nigūñ vahshat
mujh ko batlā maiñ kyā karūñ vahshat
hijr kaafī hai dil-lagī ke liye
ab maiñ terā bhī kyā banūñ vahshat
chāhe jitnā sañvār luuñ ḳhud ko
aa.ine meñ magar lagūñ vahshat
jā chalī jā kahīñ maiñ chhup jā.ūñ
tab tū aanā maiñ jab kahūñ vahshat
dar khaTakne pe maiñ ne jab pūchhā
koī kahne lagā maiñ huuñ vahshat
aaj titlī ke saath baiThak hai
aaj thoḌā mile sukūñ vahshat
tum sunāo nā koī she'r 'ahmad'
aaj jī kartā hai sunūñ vahshat
Dar ke baiTha hun sar-nigun wahshat
mujh ko batla main kya karun wahshat
hijr kafi hai dil-lagi ke liye
ab main tera bhi kya banun wahshat
chahe jitna sanwar lun KHud ko
aaine mein magar lagun wahshat
ja chali ja kahin main chhup jaun
tab tu aana main jab kahun wahshat
dar khaTakne pe main ne jab puchha
koi kahne laga main hun wahshat
aaj titli ke sath baiThak hai
aaj thoDa mile sukun wahshat
tum sunao na koi she'r 'ahmad'
aaj ji karta hai sunun wahshat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.