Dar ke wo baat se apni jo mukar jaega
Dar ke vo baat se apnī jo mukar jā.egā
ek ḳhanjar mire siine meñ utar jā.egā
ik zarā raat kaTe sub.h kā sūraj nikle
dhuup ke rang meñ har phuul nikhar jā.egā
jism jal jā.egā haDDī bhī chaTaḳh jā.egī
vaqt ke saath hī sab rang utar jā.egā
un kī āñkhoñ meñ abhī tesha-e-sūraj bhī nahīñ
abr uTThegā to jismoñ pe bikhar jā.egā
phirte dekhegā mujhe shahr meñ āvāra agar
le ke māyūsī kā ehsās vo ghar jā.egā
Dar ke wo baat se apni jo mukar jaega
ek KHanjar mere sine mein utar jaega
ek zara raat kaTe subh ka suraj nikle
dhup ke rang mein har phul nikhar jaega
jism jal jaega haDDi bhi chaTaKH jaegi
waqt ke sath hi sab rang utar jaega
un ki aankhon mein abhi tesha-e-suraj bhi nahin
abr uTThega to jismon pe bikhar jaega
phirte dekhega mujhe shahr mein aawara agar
le ke mayusi ka ehsas wo ghar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.