dar ko har haal mein diwar na hone dena
dar ko har haal meñ dīvār na hone denā
maiñ agar chāhūñ bhī bīmār na hone denā
bāġhbānoñ kī ka.ī 'umr lagī hai is meñ
phuul ke jism ko tum ḳhaar na hone denā
jis se chāho yahāñ ummīd lagā sakte ho
lekin is shart pe had paar na hone denā
sabr karnā hai to phir hausla rakh kar karnā
hai nasīhat mirī āzār na hone denā
raunaqeñ ruuTh hī jaatī haiñ hamesha ke liye
ghar kī dahlīz ko bāzār na hone denā
dar ko har haal mein diwar na hone dena
main agar chahun bhi bimar na hone dena
baghbanon ki kai 'umr lagi hai is mein
phul ke jism ko tum KHar na hone dena
jis se chaho yahan ummid laga sakte ho
lekin is shart pe had par na hone dena
sabr karna hai to phir hausla rakh kar karna
hai nasihat meri aazar na hone dena
raunaqen ruTh hi jati hain hamesha ke liye
ghar ki dahliz ko bazar na hone dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.