Dar mujhe bhi lagta hai kam-nazar zamane se
Dar mujhe bhī lagtā hai kam-nazar zamāne se
kyā karūñ na maane jab dil mirā manāne se
jal uThā thā pal bhar ko aap kī ināyat se
bujh gayā charāġh-e-dil aap ke bujhāne se
vo to lā-ubālī hai kyā use ḳhabar hogī
ham pe kyā guzartī hai hāl-e-dil chhupāne se
barhamī meñ chehre ko kyuuñ bigāḌ rakkhā hai
ye hasīn lagtā hai sirf muskurāne se
bām-o-dar mire ghar ke muntazir haiñ us din ke
jab tumheñ mile fursat mahfiloñ meñ jaane se
ham vafā ke matvāle jaan ko nahīñ Darte
baaz ab to aa jaao ham ko āzmāne se
dars jāñ-nisārī kā tū hameñ na de 'tashna'
kyā milā tujhe ab tak zindagī luTāne se
Dar mujhe bhi lagta hai kam-nazar zamane se
kya karun na mane jab dil mera manane se
jal uTha tha pal bhar ko aap ki inayat se
bujh gaya charagh-e-dil aap ke bujhane se
wo to la-ubaali hai kya use KHabar hogi
hum pe kya guzarti hai haal-e-dil chhupane se
barhami mein chehre ko kyun bigaD rakkha hai
ye hasin lagta hai sirf muskurane se
baam-o-dar mere ghar ke muntazir hain us din ke
jab tumhein mile fursat mahfilon mein jaane se
hum wafa ke matwale jaan ko nahin Darte
baz ab to aa jao hum ko aazmane se
dars jaan-nisari ka tu hamein na de 'tashna'
kya mila tujhe ab tak zindagi luTane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.