Dar nahīñ thūkte haiñ ḳhuun jo dukh paa.e hue
laḳht-e-dil ban ke nikal jā.eñge ġham khaa.e hue
dam nikalnā hai dil-e-zār kā hai haal aḳhīr
naale aate haiñ laboñ tak mire ghabrā.e hue
ye bahāna hai mire qatl pe raazī nahīñ tiir
ġhul machātī hai kamāñ hāthoñ ko phailā.e hue
ham to mar jā.eñge har gul pe adam meñ bhī 'rashīd'
jaate haiñ gulshan-e-fānī kī havā khaa.e hue
Dar nahin thukte hain KHun jo dukh pae hue
laKHt-e-dil ban ke nikal jaenge gham khae hue
dam nikalna hai dil-e-zar ka hai haal aKHir
nale aate hain labon tak mere ghabrae hue
ye bahana hai mere qatl pe raazi nahin tir
ghul machati hai kaman hathon ko phailae hue
hum to mar jaenge har gul pe adam mein bhi 'rashid'
jate hain gulshan-e-fani ki hawa khae hue
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-159 page-137)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.