dar-o-diwar pe hijrat ke nishan dekh aaen
dar-o-dīvār pe hijrat ke nishāñ dekh aa.eñ
aao ham apne buzurgoñ ke makāñ dekh aa.eñ
aao bhīgī huī āñkhoñ se paḌheñ nauha-e-dil
aao bikhre hue rishtoñ kā ziyāñ dekh aa.eñ
TuuTā TuuTā huā dil le ke phireñ galiyoñ meñ
kachchī miTTī ke khilaunoñ kī dukāñ dekh aa.eñ
raushnī ke kahīñ āsār to baaqī hoñge
aao pighlī huī sham.oñ kā dhuāñ dekh aa.eñ
jin daraḳhtoñ ke tale raqs-e-sabā hotā thā
sūkhe pattoñ kā barasnā bhī vahāñ dekh aa.eñ
ab farishtoñ ke sivā koī na aatā hogā
kaun detā hai ḳharāboñ meñ azaañ dekh aa.eñ
muddatoñ ba.ad muhājir kī tarah aa.e haiñ
ruuTh jaa.e na khañDar aao miyāñ dekh aa.eñ
dar-o-diwar pe hijrat ke nishan dekh aaen
aao hum apne buzurgon ke makan dekh aaen
aao bhigi hui aankhon se paDhen nauha-e-dil
aao bikhre hue rishton ka ziyan dekh aaen
TuTa TuTa hua dil le ke phiren galiyon mein
kachchi miTTi ke khilaunon ki dukan dekh aaen
raushni ke kahin aasar to baqi honge
aao pighli hui shamon ka dhuan dekh aaen
jin daraKHton ke tale raqs-e-saba hota tha
sukhe patton ka barasna bhi wahan dekh aaen
ab farishton ke siwa koi na aata hoga
kaun deta hai KHarabon mein azan dekh aaen
muddaton baad muhajir ki tarah aae hain
ruTh jae na khanDar aao miyan dekh aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.