dar-o-diwar pe sadiyon ka asar lagta hai
dar-o-dīvār pe sadiyoñ kā asar lagtā hai
ghar meñ koī nahīñ hotā hai to Dar lagtā hai
sotī aur jāgtī kirneñ haiñ mirī āñkhoñ meñ
ek jaisā hī mujhe shām-o-sahar lagtā hai
koī āsāñ to nahīñ dard kī manzil paanā
dil kī har baat meñ patthar kā jigar lagtā hai
phuul sab ek se dilkash nahīñ hote lekin
us kī zulfoñ meñ har ik phuul magar lagtā hai
varna ik bojh sī lagtī hai talāsh-e-manzil
ham-safar saath agar ho to safar lagtā hai
jis pe so jaate haiñ ma.asūm parinde 'sarvat'
bas vahī peḌ daraḳhtoñ meñ shajar lagtā hai
dar-o-diwar pe sadiyon ka asar lagta hai
ghar mein koi nahin hota hai to Dar lagta hai
soti aur jagti kirnen hain meri aankhon mein
ek jaisa hi mujhe sham-o-sahar lagta hai
koi aasan to nahin dard ki manzil pana
dil ki har baat mein patthar ka jigar lagta hai
phul sab ek se dilkash nahin hote lekin
us ki zulfon mein har ek phul magar lagta hai
warna ek bojh si lagti hai talash-e-manzil
ham-safar sath agar ho to safar lagta hai
jis pe so jate hain masum parinde 'sarwat'
bas wahi peD daraKHton mein shajar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.