dar-o-diwar pe ye kaisi faza tari hai
dar-o-dīvār pe ye kaisī fazā taarī hai
dil dhaḌakne kī sadā jaise azā-dārī hai
kaise kaTtī hai tire hijr meñ mat pūchhā kar
saañs talvār hai talvār bhī do-dhārī hai
dard ho ashk hoñ yādeñ hoñ ki tanhā.ī ho
tujh se mansūb har ik chiiz mujhe pyārī hai
merā hālāt se samjhautā nahīñ ho paayā
jang jo jaarī thī mujh meñ vo abhī jaarī hai
dekhnā dekh ke chhūne kī tamanna karnā
kis qadar zauq-e-talab aap kā bāzārī hai
gin ke rakkhe haiñ tirī yaad ke motī dil meñ
dil se mahfūz bhalā kaun sī almārī hai
ye jo 'gulfām' tire baad jiye jaatī hai
duniyā-dārī hai banāvaT hai adākārī hai
dar-o-diwar pe ye kaisi faza tari hai
dil dhaDakne ki sada jaise aza-dari hai
kaise kaTti hai tere hijr mein mat puchha kar
sans talwar hai talwar bhi do-dhaari hai
dard ho ashk hon yaaden hon ki tanhai ho
tujh se mansub har ek chiz mujhe pyari hai
mera haalat se samjhauta nahin ho paya
jang jo jari thi mujh mein wo abhi jari hai
dekhna dekh ke chhune ki tamanna karna
kis qadar zauq-e-talab aap ka bazari hai
gin ke rakkhe hain teri yaad ke moti dil mein
dil se mahfuz bhala kaun si almari hai
ye jo 'gulfam' tere baad jiye jati hai
duniya-dari hai banawaT hai adakari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.