dar-o-diwar se Dar lag raha tha
dar-o-dīvār se Dar lag rahā thā
tirā ghar bhī mirā ghar lag rahā thā
usī ne sab se pahle haar maanī
vahī sab se dilāvar lag rahā thā
jise mahtāb kahtā thā zamāna
tire kūche kā patthar lag rahā thā
jagah ab chhoḌ duuñ beTe kī ḳhātir
vo kal mere barābar lag rahā thā
ḳhabar kyā thī bagūloñ kā hai maskan
pare se to samundar lag rahā thā
chhalaktī thī ġhazal har zāviye se
tirā paikar suḳhanvar lag rahā thā
Thahartā kaun ik mere 'alāva
vahāñ to daav par sar lag rahā thā
tirī yādoñ kī rut aa.ī huī thī
ye sahrā mor kā par lag rahā thā
mire dīvār-o-dar bhī kāġhazī the
ghaTā meñ bhī samundar lag rahā thā
dar-o-diwar se Dar lag raha tha
tera ghar bhi mera ghar lag raha tha
usi ne sab se pahle haar mani
wahi sab se dilawar lag raha tha
jise mahtab kahta tha zamana
tere kuche ka patthar lag raha tha
jagah ab chhoD dun beTe ki KHatir
wo kal mere barabar lag raha tha
KHabar kya thi bagulon ka hai maskan
pare se to samundar lag raha tha
chhalakti thi ghazal har zawiye se
tera paikar suKHanwar lag raha tha
Thaharta kaun ek mere 'alawa
wahan to daw par sar lag raha tha
teri yaadon ki rut aai hui thi
ye sahra mor ka par lag raha tha
mere diwar-o-dar bhi kaghazi the
ghaTa mein bhi samundar lag raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.