dar-parda-e-bahaar jo wo naghma-KHwan na ho
dar-parda-e-bahār jo vo naġhma-ḳhvāñ na ho
bulbul se naala gul se tabassum ayaañ na ho
ġhavvās-e-bahr-e-ishq na tūfān-e-ġham se Dar
ye bhī shanāvarī kā tirī imtihāñ na ho
nākāmī-e-ḳhirad se mujhe ab ye ḳhauf hai
sa.ī-e-junūñ bhī merī kahīñ rā.egāñ na ho
aisā koī maqām na ab tak milā jahāñ
merī jabīñ ho aur tirā āstāñ na ho
us be-nishāñ kā mil nahīñ saktā kabhī surāġh
jab tak koī talāsh meñ ḳhud be-nishāñ na ho
maiñ bhī miTā chukā huuñ rah-e-ishq meñ hayāt
merā hī ye ġhubār pas-e-kārvāñ na ho
'vahshī' tarīq-e-ishq meñ rusvā.iyāñ bhī haiñ
kitnā hī dard dil meñ ho lab par fuġhāñ na ho
dar-parda-e-bahaar jo wo naghma-KHwan na ho
bulbul se nala gul se tabassum ayan na ho
ghawwas-e-bahr-e-ishq na tufan-e-gham se Dar
ye bhi shanawari ka teri imtihan na ho
nakaami-e-KHirad se mujhe ab ye KHauf hai
sai-e-junun bhi meri kahin raegan na ho
aisa koi maqam na ab tak mila jahan
meri jabin ho aur tera aastan na ho
us be-nishan ka mil nahin sakta kabhi suragh
jab tak koi talash mein KHud be-nishan na ho
main bhi miTa chuka hun rah-e-ishq mein hayat
mera hi ye ghubar pas-e-karwan na ho
'wahshi' tariq-e-ishq mein ruswaiyan bhi hain
kitna hi dard dil mein ho lab par fughan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.