dar pe hain log yun meri laghar si jaan ke
dar pe haiñ log yuuñ mirī lāġhar sī jaan ke
kutte hoñ jaise aah mire ustuḳhvān ke
zāhid sambhāliye yahāñ dastār-e-mo'atabar
bachche sharīr hote haiñ pīr-e-muġhān ke
ik chāñd hai ki jaan na paayā hameñ kabhī
taare to varna jānte haiñ āsmān ke
taare to ham samajhte haiñ ḳhud ko yahāñ magar
miTTī ke putle haiñ sabhī ham ḳhāk-dān ke
'hāvī' ke maiñ kalām kī tārīf kyā karūñ
ḳhādim haiñ bas janāb vo urdu zabān ke
dar pe hain log yun meri laghar si jaan ke
kutte hon jaise aah mere ustuKHwan ke
zahid sambhaaliye yahan dastar-e-mo'atabar
bachche sharir hote hain pir-e-mughan ke
ek chand hai ki jaan na paya hamein kabhi
tare to warna jaante hain aasman ke
tare to hum samajhte hain KHud ko yahan magar
miTTi ke putle hain sabhi hum KHak-dan ke
'hawi' ke main kalam ki tarif kya karun
KHadim hain bas janab wo urdu zaban ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.