dar pe rahe ye dida-e-giryan tamam-umr
dar pe rahe ye dida-e-giryan tamam-umr
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
dar pe rahe ye dīda-e-giryāñ tamām-umr
lekin bujhī na ātish-e-hijrāñ tamām-umr
Daalā hai us ko jazb-e-mohabbat ne chaah meñ
dekhā na jis ne thā kabhī zindāñ tamām-umr
vaaq.e meñ ye hai harf-e-shikāyat bhī kyā kaheñ
niklā na koī jo mirā armāñ tamām-umr
pāmāl ko bhī ham ne kiyā apnā ham-jalīs
chhānā kiyā maiñ ḳhāk-e-bayābāñ tamām-umr
rātoñ ko mere vāste uThtā hai baar baar
bhūlūñgā dard-e-dil kā na ehsāñ tamām-umr
kyā mujh ko apnī yaad se ḳhilqat ne kho diyā
samjhā kiyā maiñ aap ko insāñ tamām-umr
'ārif' likheñ haiñ is meñ mazāmīn-e-intishār
hovegā jam.a merā na dīvāñ tamām-umr
dar pe rahe ye dida-e-giryan tamam-umr
lekin bujhi na aatish-e-hijran tamam-umr
Dala hai us ko jazb-e-mohabbat ne chah mein
dekha na jis ne tha kabhi zindan tamam-umr
waqe mein ye hai harf-e-shikayat bhi kya kahen
nikla na koi jo mera arman tamam-umr
pamal ko bhi hum ne kiya apna ham-jalis
chhana kiya main KHak-e-bayaban tamam-umr
raaton ko mere waste uThta hai bar bar
bhulunga dard-e-dil ka na ehsan tamam-umr
kya mujh ko apni yaad se KHilqat ne kho diya
samjha kiya main aap ko insan tamam-umr
'arif' likhen hain is mein mazamin-e-intishaar
howega jama mera na diwan tamam-umr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.