dar-pesh sham-e-gham hai adam ka safar mujhe
dar-pesh shām-e-ġham hai adam kā safar mujhe
is tīrgī meñ raah milegī kidhar mujhe
e.ajāz-e-chashm-e-nāz dikhā fitna-gar mujhe
ya.anī miTā diyā hai to paidā bhī kar mujhe
majbūr raaz kahne pe hamdam na kar mujhe
dār-o-rasan haiñ sāmne haq baat par mujhe
saaqī huuñ rind-e-ḳhās mile tez-tar mujhe
mai-ḳhāna sab jahāñ ko sharāb-e-nazar mujhe
ta.abīr is kī kyā hai batā chārāgar mujhe
dekhā hai ḳhvāb meñ na milegī sahar mujhe
kho de malāl hijr kā chāhe jidhar mujhe
uTThī to DhūñD legī kisī kī nazar mujhe
vo muskurā rahe haiñ jidhar dekhtā huuñ maiñ
kaisā diyā gayā hai fareb-e-nazar mujhe
dhoke meñ tere ahd-e-mohabbat ke aa gayā
ma.alūm ye hadīs huī mo'atabar mujhe
dīvāne ho ga.e haiñ mire saath aqrabā
samjhā rahā hai ishq meñ sab ghar kā ghar mujhe
vo mast-e-kaif-e-nāz haiñ maiñ be-ḳhud-e-niyāz
un kī ḳhabar unheñ hai na merī ḳhabar mujhe
sayyād bhī diyā to muqaddar se bad-gumāñ
badle ka.ī qafas jo mile chaar par mujhe
kuchh un kī teġh ke bhī baḌhāne the hausle
kuchh ḳhud bhī bār-e-dosh thā ulfat meñ sar mujhe
ik din to aa ke sāmne jalve bikher do
maiñ yaad kyā karūñgā milī thī nazar mujhe
ho kar asiir yuuñ mire fitrat badal ga.ī
jaise kabhī mile hī na the bāl-o-par mujhe
ik barq thī jo ruuh pe lahrā ke gir paḌī
ab tak hai yaad aap kī pahlī nazar mujhe
māyūs ho chalā hai mirā zauq-e-justujū
kuchh to patā batāo miloge kidhar mujhe
mujh ko kamāl-e-be-hunarī 'abr' hai bahut
ya.anī nahīñ zarūrat-e-arz-e-hunar mujhe
dar-pesh sham-e-gham hai adam ka safar mujhe
is tirgi mein rah milegi kidhar mujhe
eajaz-e-chashm-e-naz dikha fitna-gar mujhe
yani miTa diya hai to paida bhi kar mujhe
majbur raaz kahne pe hamdam na kar mujhe
dar-o-rasan hain samne haq baat par mujhe
saqi hun rind-e-KHas mile tez-tar mujhe
mai-KHana sab jahan ko sharab-e-nazar mujhe
tabir is ki kya hai bata chaaragar mujhe
dekha hai KHwab mein na milegi sahar mujhe
kho de malal hijr ka chahe jidhar mujhe
uTThi to DhunD legi kisi ki nazar mujhe
wo muskura rahe hain jidhar dekhta hun main
kaisa diya gaya hai fareb-e-nazar mujhe
dhoke mein tere ahd-e-mohabbat ke aa gaya
malum ye hadis hui mo'atabar mujhe
diwane ho gae hain mere sath aqraba
samjha raha hai ishq mein sab ghar ka ghar mujhe
wo mast-e-kaif-e-naz hain main be-KHud-e-niyaz
un ki KHabar unhen hai na meri KHabar mujhe
sayyaad bhi diya to muqaddar se bad-guman
badle kai qafas jo mile chaar par mujhe
kuchh un ki tegh ke bhi baDhane the hausle
kuchh KHud bhi bar-e-dosh tha ulfat mein sar mujhe
ek din to aa ke samne jalwe bikher do
main yaad kya karunga mili thi nazar mujhe
ho kar asir yun mere fitrat badal gai
jaise kabhi mile hi na the baal-o-par mujhe
ek barq thi jo ruh pe lahra ke gir paDi
ab tak hai yaad aap ki pahli nazar mujhe
mayus ho chala hai mera zauq-e-justuju
kuchh to pata batao miloge kidhar mujhe
mujh ko kamal-e-be-hunari 'abr' hai bahut
yani nahin zarurat-e-arz-e-hunar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.