Dar raha hun ki Dar ki baat bhi hai
Dar rahā huuñ ki Dar kī baat bhī hai
be-ruḳhī vaj.h-e-iltifāt bhī hai
dostī in dinoñ ḳhulūs ke saath
vaj.h-e-tark-e-ta.alluqāt bhī hai
terā ġham hāsil-e-ḳhushī hī nahīñ
terā ġham hāsil-e-hayāt bhī hai
har-nafas ik tasavvur-e-ġham-e-nau
koī hadd-e-tasavvurāt bhī hai
hañs ke pūchhā kalī se ik gul ne
muskurāne kī koī baat bhī hai
dostoñ se gurez 'nashtar' kā
sāneha bhī hai vārdāt bhī hai
Dar raha hun ki Dar ki baat bhi hai
be-ruKHi wajh-e-iltifat bhi hai
dosti in dinon KHulus ke sath
wajh-e-tark-e-talluqat bhi hai
tera gham hasil-e-KHushi hi nahin
tera gham hasil-e-hayat bhi hai
har-nafas ek tasawwur-e-gham-e-nau
koi hadd-e-tasawwuraat bhi hai
hans ke puchha kali se ek gul ne
muskurane ki koi baat bhi hai
doston se gurez 'nashtar' ka
saneha bhi hai wardat bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.