Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar raha sab pe jo suKHanwar hai

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

dar raha sab pe jo suKHanwar hai

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    dar rahā sab pe jo suḳhanvar hai

    she'r teġh-e-zabāñ jauhar hai

    baat apnī ye sun ke kaan meñ Daal

    aabrū misl-e-āb-e-gauhar hai

    'ishq bin kyā kisī dil ho guzār

    mom be-āg dekhe patthar hai

    dil denā sarāsarī mat jaan

    jaan par khelnā sarāsar hai

    kyā muḳhālif hai is chaman havā

    ḳhaar detā hai jo gul-e-tar hai

    nok rakh lo barahna-pā.ī

    ābād ḳhār-e-dasht nashtar hai

    ab to jaate haiñ us gul meñ 'nasīm'

    ho rahegā jo kuchh muqaddar hai

    dar raha sab pe jo suKHanwar hai

    she'r tegh-e-zaban ka jauhar hai

    baat apni ye sun ke kan mein Dal

    aabru misl-e-ab-e-gauhar hai

    'ishq bin kya kisi ka dil ho guzar

    mom be-ag dekhe patthar hai

    dil ka dena sarasari mat jaan

    jaan par khelna sarasar hai

    kya muKHalif hai is chaman ki hawa

    KHar deta hai jo gul-e-tar hai

    nok rakh lo barahna-pai ki

    aabaad KHar-e-dasht nashtar hai

    ab to jate hain us gul mein 'nasim'

    ho rahega jo kuchh muqaddar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now