Dar se pichha chhuDa liya maine
Dar se pīchhā chhuḌā liyā maiñ ne
us ko sab kuchh batā diyā maiñ ne
us kā chehra banāne se pahle
phuul se mashvara kiyā maiñ ne
āsmāñ kī nazar se bachte hue
ik sitāra uThā liyā maiñ ne
us kī āñkhoñ meñ ek baat jo thī
us ko hoñToñ pe rakh diyā maiñ ne
jab se lahja badal gayā us kā
apnā rasta badal liyā maiñ ne
Dar se pichha chhuDa liya main ne
us ko sab kuchh bata diya main ne
us ka chehra banane se pahle
phul se mashwara kiya main ne
aasman ki nazar se bachte hue
ek sitara uTha liya main ne
us ki aankhon mein ek baat jo thi
us ko honTon pe rakh diya main ne
jab se lahja badal gaya us ka
apna rasta badal liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.