Dar to mujhe kis ka hai ki main kuchh nahin kahta
Dar to mujhe kis kā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
par haal ye ifshā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
tis not because of fear that from speaking I refrain
but as my state is known to all, so quiet I remain
nāseh ye gila kyā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
tū kab mirī suntā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
O preacher you complain about my silent state today
whenever do you listen to me whatever I say
maiñ bolūñ to chup hote haiñ ab aap jabhī tak
ye ranjish-e-bejā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
you stay silent only till I've started to express
unfounded is your anger then at my speechlessness
kuchh ġhair se hoñToñ meñ kahe hai ye jo pūchho
tū vūhīñ mukartā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
she whispers to my rival and when I ask replies
I did not talk to him at all and blatantly denies
kab paas phaTakne duuñ raqīboñ ko tumhāre
par paas tumhārā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
would I ever let my foes get anywhere so near?
But since I have regard for you, I do not interfere
nāseh ko jo chāhūñ to abhī Thiik banā duuñ
par ḳhauf ḳhudā kā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
if I so wish, can easily now set the preacher right
it is the fear of God that keeps me in a silent plight
kyā kyā na kahe ġhair kī gar baat na pūchho
ye hausla merā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
if I don’t ask about my foe, you rant and rave like how
it is my courage even then, I do not speak somehow
kyā kahiye nasīboñ ko ki aġhyār kā shikva
sun sun ke vo chupkā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
........................................................................................

mat pūchh ki kis vāste chup lag ga.ī zālim
bas kyā kahūñ maiñ kyā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
O tyrant do not ask the reason for my quiesence
what can I say what it is so I prefer silence
chupke se tire milne kā ghar vāloñ meñ tere
is vāste charchā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
talk of our secret tryst is rife, when in your family
tis for that reason reticent that I now choose to be
haañ tañg-dahānī kā na karne ke liye baat
hai uzr par aisā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
........................................................................................
........................................................................................
ai chāragaro qābil-e-darmāñ nahīñ ye dard
varna mujhe saudā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
incapable of remedy, O healer, is my pain
or do you think me mad that I do not complain
har vaqt hai dushnām har ik baat meñ taana
phir us pe bhī kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
you abuse me all the time, with taunts and jibes or worse
even then you do complain that I do not converse
kuchh sun ke jo maiñ chup huuñ to tum kahte ho bolo
samjho to ye thoḌā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
when I'm silent at your words, you ask me to speak out
my quiet's no small matter, you should not be in doubt
suntā nahīñ vo varna ye sargoshi-e-aġhyār
kyā mujh ko gavārā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
........................................................................................
........................................................................................
'momin' ba-ḳhudā sehr-bayānī kā jabhī tak
har ek ko daavā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
it's true, Momin, that everyone claims magic in his speech
but only till the moment that my silence I don't breach
Dar to mujhe kis ka hai ki main kuchh nahin kahta
par haal ye ifsha hai ki main kuchh nahin kahta
tis not because of fear that from speaking I refrain
but as my state is known to all, so quiet I remain
naseh ye gila kya hai ki main kuchh nahin kahta
tu kab meri sunta hai ki main kuchh nahin kahta
O preacher you complain about my silent state today
whenever do you listen to me whatever I say
main bolun to chup hote hain ab aap jabhi tak
ye ranjish-e-beja hai ki main kuchh nahin kahta
you stay silent only till I've started to express
unfounded is your anger then at my speechlessness
kuchh ghair se honTon mein kahe hai ye jo puchho
tu wuhin mukarta hai ki main kuchh nahin kahta
she whispers to my rival and when I ask replies
I did not talk to him at all and blatantly denies
kab pas phaTakne dun raqibon ko tumhaare
par pas tumhaara hai ki main kuchh nahin kahta
would I ever let my foes get anywhere so near?
But since I have regard for you, I do not interfere
naseh ko jo chahun to abhi Thik bana dun
par KHauf KHuda ka hai ki main kuchh nahin kahta
if I so wish, can easily now set the preacher right
it is the fear of God that keeps me in a silent plight
kya kya na kahe ghair ki gar baat na puchho
ye hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta
if I don’t ask about my foe, you rant and rave like how
it is my courage even then, I do not speak somehow
kya kahiye nasibon ko ki aghyar ka shikwa
sun sun ke wo chupka hai ki main kuchh nahin kahta
........................................................................................
........................................................................................
mat puchh ki kis waste chup lag gai zalim
bas kya kahun main kya hai ki main kuchh nahin kahta
O tyrant do not ask the reason for my quiesence
what can I say what it is so I prefer silence
chupke se tere milne ka ghar walon mein tere
is waste charcha hai ki main kuchh nahin kahta
talk of our secret tryst is rife, when in your family
tis for that reason reticent that I now choose to be
han tang-dahani ka na karne ke liye baat
hai uzr par aisa hai ki main kuchh nahin kahta
........................................................................................
........................................................................................
ai chaaragaro qabil-e-darman nahin ye dard
warna mujhe sauda hai ki main kuchh nahin kahta
incapable of remedy, O healer, is my pain
or do you think me mad that I do not complain
har waqt hai dushnam har ek baat mein tana
phir us pe bhi kahta hai ki main kuchh nahin kahta
you abuse me all the time, with taunts and jibes or worse
even then you do complain that I do not converse
kuchh sun ke jo main chup hun to tum kahte ho bolo
samjho to ye thoDa hai ki main kuchh nahin kahta
when I'm silent at your words, you ask me to speak out
my quiet's no small matter, you should not be in doubt
sunta nahin wo warna ye sargoshi-e-aghyar
kya mujh ko gawara hai ki main kuchh nahin kahta
........................................................................................
........................................................................................
'momin' ba-KHuda sehr-bayani ka jabhi tak
har ek ko dawa hai ki main kuchh nahin kahta
it's true, Momin, that everyone claims magic in his speech
but only till the moment that my silence I don't breach
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.