Dar ye nahin ki hijr mein jina muhaal hai
Dar ye nahīñ ki hijr meñ jiinā muhāl hai
Dar hai ki ḳhāksār kasīr-ul-'ayāl hai
chhe saat ser khā ke bhī kahtā hai maulvī
aalam tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai
ab vo shab-e-firāq kī nīñdeñ kahāñ nasīb
ai dil shab-e-visāl meñ sonā muhāl hai
kuttoñ kā ik hujūm jilau meñ hai raat din
patlā dayār-e-husn meñ āshiq kā haal hai
dafnā ke jā rahā hai mujhe vo sitam-zarīf
āñkhoñ meñ jū-e-ḳhūñ hai baġhal meñ kudāl hai
samjhā ke mujh ko ishq ḳhalal hai dimāġh kā
nāseh ne un se shādī kī merā ḳhayāl hai
kah do ye apnī maañ se kare fan kā ehtirām
khāñsī ye kyā hai jis meñ ki sur hai na taal hai
ye ahd-e-barshgāl kirā.e kā ye makāñ
ya.anī har ek kamre meñ chhoTā sā taal hai
khelā kiye ye taash maiñ royā kiyā lahū
chāragaroñ ke faiz se jiinā muhāl hai
Dar ye nahin ki hijr mein jina muhaal hai
Dar hai ki KHaksar kasir-ul-'ayal hai
chhe sat ser kha ke bhi kahta hai maulwi
aalam tamam halqa-e-dam-e-KHayal hai
ab wo shab-e-firaq ki ninden kahan nasib
ai dil shab-e-visal mein sona muhaal hai
kutton ka ek hujum jilau mein hai raat din
patla dayar-e-husn mein aashiq ka haal hai
dafna ke ja raha hai mujhe wo sitam-zarif
aankhon mein ju-e-KHun hai baghal mein kudal hai
samjha ke mujh ko ishq KHalal hai dimagh ka
naseh ne un se shadi ki mera KHayal hai
kah do ye apni man se kare fan ka ehtiram
khansi ye kya hai jis mein ki sur hai na tal hai
ye ahd-e-barshgal kirae ka ye makan
yani har ek kamre mein chhoTa sa tal hai
khela kiye ye tash main roya kiya lahu
chaaragaron ke faiz se jina muhaal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.