dara dara ke mere sare Dar nikalta hai
darā darā ke mire saare Dar nikāltā hai
'ajab ‘ilāj mirā chārāgar nikāltā hai
adhūre-pan kī mukammal dalīl huuñ lekin
kasar nikālne vaalā kasar nikāltā hai
tirā ḳhudā bhī ho tujh jaisā aur de tujh ko
daraḳht aisā jo gin kar samar nikāltā hai
saroñ pe haath zehānat baḌhā nahīñ saktā
ye aur baat ki andar kā Dar nikāltā hai
kisī kī yaad bhī ab tā-sahar nahīñ rahtī
ḳhayāl hai ki pahar-do-pahar nikāltā hai
fazā koī bhī ho fitrat badal nahīñ saktī
qafas meñ qaid parinda bhī par nikāltā hai
vo ġhair mausamī barsāt yaad hai tum ko
aur ek shaḳhs jo khiḌkī se sar nikāltā hai
'amit' vo kār-e-siyāsat ke mas.ale ye hujūm
jo hal nikāl na paa.e ḳhabar nikāltā hai
dara dara ke mere sare Dar nikalta hai
'ajab ‘ilaj mera chaaragar nikalta hai
adhure-pan ki mukammal dalil hun lekin
kasar nikalne wala kasar nikalta hai
tera KHuda bhi ho tujh jaisa aur de tujh ko
daraKHt aisa jo gin kar samar nikalta hai
saron pe hath zehanat baDha nahin sakta
ye aur baat ki andar ka Dar nikalta hai
kisi ki yaad bhi ab ta-sahar nahin rahti
KHayal hai ki pahar-do-pahar nikalta hai
faza koi bhi ho fitrat badal nahin sakti
qafas mein qaid parinda bhi par nikalta hai
wo ghair mausami barsat yaad hai tum ko
aur ek shaKHs jo khiDki se sar nikalta hai
'amit' wo kar-e-siyasat ke masale ye hujum
jo hal nikal na pae KHabar nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.