Dara na paega lashkar tera zara mujhko
Darā na pā.egā lashkar tirā zarā mujh ko
mire ḳhudā ne vo baḳhshā hai hausla mujh ko
banā hai jab se mirā ham-safar koī jugnū
dikhā rahā hai añdhere meñ rāsta mujh ko
surāġh miltā nahīñ hai kahīñ se manzil kā
ye kis maqām pe lā kar khaḌā kiyā mujh ko
vo jis ko samjhā thā maiñ ne yahāñ habīb apnā
vo shaḳhs dene lagā in dinoñ daġhā mujh ko
jo uñglī thaam ke chaltā rahā sadā merī
dikhā rahā hai vahī shaḳhs ā.īna mujh ko
vo kaun urdu kā shaidā hai shahr meñ 'sānī'
sabaq sikhā gayā kal kā mushā.era mujh ko
Dara na paega lashkar tera zara mujh ko
mere KHuda ne wo baKHsha hai hausla mujh ko
bana hai jab se mera ham-safar koi jugnu
dikha raha hai andhere mein rasta mujh ko
suragh milta nahin hai kahin se manzil ka
ye kis maqam pe la kar khaDa kiya mujh ko
wo jis ko samjha tha main ne yahan habib apna
wo shaKHs dene laga in dinon dagha mujh ko
jo ungli tham ke chalta raha sada meri
dikha raha hai wahi shaKHs aaina mujh ko
wo kaun urdu ka shaida hai shahr mein 'sani'
sabaq sikha gaya kal ka mushaera mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.