Dara raha hai musalsal yahi sawal mujhe
Darā rahā hai musalsal yahī savāl mujhe
guzār deñge yūñhī kyā ye māh-o-sāl mujhe
bichhaḌte vaqt izāfa na apne ranj meñ kar
yahī samajh ki huā hai bahut malāl mujhe
vo shahr-e-hijr 'ajab shahr-e-pur-tahayyur thā
bahut dinoñ meñ to aayā tirā ḳhayāl mujhe
maiñ is ḳhayāl se jaatā nahīñ 'urūj kī samt
mabād gher le tanhā kahīñ zavāl mujhe
har ek shaḳhs kā chehra ḳhud us kā chehra hai
kahīñ to koī mile ā.ina-misāl mujhe
tū mere ḳhvāb ko 'ujlat meñ rā.egāñ na samajh
abhī suḳhan ki imkāñ se mat nikāl mujhe
kise ḳhabar ki tā-ḳhāk aag zinda ho
zarā sī der Thahar aur dekh-bhāl mujhe
kahāñ kā vasl ki is shahr-e-pur-fishār meñ ab
tirā firāq bhī lagne lagā muhāl mujhe
usī ke dam se to qaa.em abhī hai tār-e-nafas
ye ik umiid ki rakhtī hai pur savāl mujhe
kahūñ maiñ taaza ġhazal ai havā-e-tāza-dilī
zarā sī der ko rakhe jo tū bahāl mujhe
ḳhirām-e-umar kisī shahr-e-pur-malāl ko chal
kiye hue hai ye āsūdgī niDhāl mujhe
kahāñ se laa.eñ bhalā ham javāz-e-ham-safarī
tujhe 'azīz tire ḳhvāb merā haal mujhe
mujhe kahāñ ye ḳhabar hai maiñ kyā huuñ kaisā huuñ
magar hai vaj.h-e-tasallī tirā jamāl mujhe
ubhar rahā huuñ maiñ sat.h-e-adam se naqsh-ba-naqsh
tirī hī jalvagarī huuñ zarā ujaal mujhe
yahāñ to habs bahut hai so gard-bād-e-junūñ
madār-e-vaqt se bāhar kahīñ uchhāl mujhe
phir us ke baa'd na tū hai na ye charāġh na maiñ
sahar kī pahlī kiran tak zarā sañbhāl mujhe
Dara raha hai musalsal yahi sawal mujhe
guzar denge yunhi kya ye mah-o-sal mujhe
bichhaDte waqt izafa na apne ranj mein kar
yahi samajh ki hua hai bahut malal mujhe
wo shahr-e-hijr 'ajab shahr-e-pur-tahayyur tha
bahut dinon mein to aaya tera KHayal mujhe
main is KHayal se jata nahin 'uruj ki samt
mabaad gher le tanha kahin zawal mujhe
har ek shaKHs ka chehra KHud us ka chehra hai
kahin to koi mile aaina-misal mujhe
tu mere KHwab ko 'ujlat mein raegan na samajh
abhi suKHan ki imkan se mat nikal mujhe
kise KHabar ki ta-KHak aag zinda ho
zara si der Thahar aur dekh-bhaal mujhe
kahan ka wasl ki is shahr-e-pur-fishaar mein ab
tera firaq bhi lagne laga muhaal mujhe
usi ke dam se to qaem abhi hai tar-e-nafas
ye ek umid ki rakhti hai pur sawal mujhe
kahun main taza ghazal ai hawa-e-taza-dili
zara si der ko rakhe jo tu bahaal mujhe
KHiram-e-umar kisi shahr-e-pur-malal ko chal
kiye hue hai ye aasudgi niDhaal mujhe
kahan se laen bhala hum jawaz-e-ham-safari
tujhe 'aziz tere KHwab mera haal mujhe
mujhe kahan ye KHabar hai main kya hun kaisa hun
magar hai wajh-e-tasalli tera jamal mujhe
ubhar raha hun main sath-e-adam se naqsh-ba-naqsh
teri hi jalwagari hun zara ujal mujhe
yahan to habs bahut hai so gard-baad-e-junun
madar-e-waqt se bahar kahin uchhaal mujhe
phir us ke ba'd na tu hai na ye charagh na main
sahar ki pahli kiran tak zara sanbhaal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.