Daraegi bhala kya teri gardish aasman mujhko
Darā.egī bhalā kyā terī gardish āsmāñ mujh ko
milā rab se duā-e-fātima kā sā.ebāñ mujh ko
chalī hai chhoḌ kar tū kyuuñ bahār-e-gulsitāñ mujh ko
ḳhudā jaane kahāñ le jaa.e ab bād-e-ḳhizāñ mujh ko
maiñ shukr-e-rab kā qaa.il huuñ havā kaisī hī chaltī ho
pata āsāniyoñ kā de ga.iiñ haiñ saḳhtiyāñ mujh ko
jalā dūñgā husūl-e-manzil-e-maqsūd kī ḳhātir
jalānī paḌ ga.iiñ gar saarī apnī kashtiyāñ mujh ko
na sham'-e-anjuman meñ huuñ na parvānoñ kā mela hai
kahāñ thā maiñ kahāñ le aa.ī hai umr-e-ravāñ mujh ko
sunā hai sab bhulā baiThe 'adīl'-e-dil-shikasta ko
na jaane aa rahī haiñ shaam se kyuuñ hichkiyāñ mujh ko
Daraegi bhala kya teri gardish aasman mujh ko
mila rab se dua-e-fatima ka saeban mujh ko
chali hai chhoD kar tu kyun bahaar-e-gulsitan mujh ko
KHuda jaane kahan le jae ab baad-e-KHizan mujh ko
main shukr-e-rab ka qail hun hawa kaisi hi chalti ho
pata aasaniyon ka de gain hain saKHtiyan mujh ko
jala dunga husul-e-manzil-e-maqsud ki KHatir
jalani paD gain gar sari apni kashtiyan mujh ko
na sham'-e-anjuman mein hun na parwanon ka mela hai
kahan tha main kahan le aai hai umr-e-rawan mujh ko
suna hai sab bhula baiThe 'adil'-e-dil-shikasta ko
na jaane aa rahi hain sham se kyun hichkiyan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.