Darane wala sun kar Dar raha hai
Darāne vaalā sun kar Dar rahā hai
hathelī par hamārā sar rahā hai
jalā degā agar rokā gayā to
abhī laavā safar tai kar rahā hai
duā dī thī jise jiine kī tum ne
duā mar mar ke puurī kar rahā hai
vo jis bastī meñ dikhtā hai dhuāñ sā
usī bastī meñ merā ghar rahā hai
tirā mahbūb vo hone se pahle
hamāre saath bhī aksar rahā hai
Darane wala sun kar Dar raha hai
hatheli par hamara sar raha hai
jala dega agar roka gaya to
abhi lawa safar tai kar raha hai
dua di thi jise jine ki tum ne
dua mar mar ke puri kar raha hai
wo jis basti mein dikhta hai dhuan sa
usi basti mein mera ghar raha hai
tera mahbub wo hone se pahle
hamare sath bhi aksar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.