daraaz gesu damakte aariz kaman abru azab aankhen
darāz gesū damakte aariz kamān abrū azaab āñkheñ
uḌā ke rakkheñgī aaj apnā bhī hosh āḳhir sharāb āñkheñ
ye sarv sā qad ye rū-e-tābāñ ye lab shagufta ye ḳhvāb āñkheñ
kahīñ churā leñ na chain dil kā ye nargisī lā-javāb āñkheñ
ye merī be-bāk mastiyoñ se jo ho rahī haiñ gulāb āñkheñ
to dil ke sab raaz kah rahī haiñ tumhāre dil kī kitāb āñkheñ
ye sun ke aa.e the un ke dekhe se dard-e-dil kā ilaaj hogā
sukūn dil ko to kyā hī miltā baḌhā ga.iiñ iztirāb āñkheñ
so rasm-e-kohna meñ apnī qismat sañvārne ham bhī aa ga.e haiñ
sunā thā dil muntaḳhab kareñgī vo dahr meñ intiḳhāb āñkheñ
har ik badan meñ talāshtī haiñ na jaane kis kā vajūd 'anvar'
kareñgī rusvā zarūr ik din hameñ ye ḳhāna-ḳharāb āñkheñ
daraaz gesu damakte aariz kaman abru azab aankhen
uDa ke rakkhengi aaj apna bhi hosh aaKHir sharab aankhen
ye sarw sa qad ye ru-e-taban ye lab shagufta ye KHwab aankhen
kahin chura len na chain dil ka ye nargisi la-jawab aankhen
ye meri be-bak mastiyon se jo ho rahi hain gulab aankhen
to dil ke sab raaz kah rahi hain tumhaare dil ki kitab aankhen
ye sun ke aae the un ke dekhe se dard-e-dil ka ilaj hoga
sukun dil ko to kya hi milta baDha gain iztirab aankhen
so rasm-e-kohna mein apni qismat sanwarne hum bhi aa gae hain
suna tha dil muntaKHab karengi wo dahr mein intiKHab aankhen
har ek badan mein talashti hain na jaane kis ka wajud 'anwar'
karengi ruswa zarur ek din hamein ye KHana-KHarab aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.