daraaz-qamat daraaz-gesu ajib sa ek nigar tha wo
darāz-qāmat darāz-gesū ajiib sā ik nigār thā vo
guloñ kī baag us ke haath meñ thī havāoñ par jab savār thā vo
junūñ thā ban kar lahū ragoñ meñ ki raat din dauḌte the lamhe
thake na the vo jo ruk ga.e the mire liye be-qarār thā vo
mire ḳhudā husn ke dafīne ko mat ḳhazāne kā martaba de
ki pā ke jo us ko ḳhush bahut thā gañvā ke kal ashk-bār thā vo
ubal paḌe nafratoñ ke sote ki ho ga.ī ḳhushk jhiil ġham kī
shikast-ḳhurda sā muñh chhupā.e na jaane kis kā shikār thā vo
kabhī kabhī jo sunā gayā thā kahīñ kahīñ jo paḌhā gayā thā
kitāb meñ band ho chukā hai ik umr kā shāhkār thā vo
vo dostoñ dushmanoñ kā pyārā phirā tamām umr maarā maarā
sunā hai kal ġham ne maar Daalā ki jis kā derīna yaar thā vo
ajiib raahī thā reg-zāroñ meñ pyaas lamhoñ kī bo rahā thā
magar chaTTānoñ se gir rahā thā ki shab meñ ik ābshār thā vo
daraaz-qamat daraaz-gesu ajib sa ek nigar tha wo
gulon ki bag us ke hath mein thi hawaon par jab sawar tha wo
junun tha ban kar lahu ragon mein ki raat din dauDte the lamhe
thake na the wo jo ruk gae the mere liye be-qarar tha wo
mere KHuda husn ke dafine ko mat KHazane ka martaba de
ki pa ke jo us ko KHush bahut tha ganwa ke kal ashk-bar tha wo
ubal paDe nafraton ke sote ki ho gai KHushk jhil gham ki
shikast-KHurda sa munh chhupae na jaane kis ka shikar tha wo
kabhi kabhi jo suna gaya tha kahin kahin jo paDha gaya tha
kitab mein band ho chuka hai ek umr ka shahkar tha wo
wo doston dushmanon ka pyara phira tamam umr mara mara
suna hai kal gham ne mar Dala ki jis ka derina yar tha wo
ajib rahi tha reg-zaron mein pyas lamhon ki bo raha tha
magar chaTTanon se gir raha tha ki shab mein ek aabshaar tha wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.