daraaz-qamti tera hunar gaya aaKHir
darāz-qāmtī terā hunar gayā āḳhir
jo qad ko maiñ ne baḌhāyā to sar gayā āḳhir
vo jang jiit ke lauTā to log pūchhte the
lahū uchhālne vaalā kidhar gayā āḳhir
karegā kaun ta'āqub udaas lamhoñ kā
ki jo 'alīl thā mujh meñ vo mar gayā āḳhir
jo ek lafz taḌaptā thā mere hoñToñ par
vo karb ban ke lahū meñ utar gayā āḳhir
tilism toḌ ke ehsās-o-fikr-o-ḳhvāhish kā
ye kaun ruuh ko bedār kar gayā āḳhir
mujhe junūn thā tāroñ ko toḌ laane kā
magar maiñ ḳhud hī ḳhalā meñ bikhar gayā āḳhir
tamām 'umr ke dukh-sukh ko baañT kar ai 'rind'
mirā ġhanīm mire saath mar gayā āḳhir
daraaz-qamti tera hunar gaya aaKHir
jo qad ko main ne baDhaya to sar gaya aaKHir
wo jang jit ke lauTa to log puchhte the
lahu uchhaalne wala kidhar gaya aaKHir
karega kaun ta'aqub udas lamhon ka
ki jo 'alil tha mujh mein wo mar gaya aaKHir
jo ek lafz taDapta tha mere honTon par
wo karb ban ke lahu mein utar gaya aaKHir
tilism toD ke ehsas-o-fikr-o-KHwahish ka
ye kaun ruh ko bedar kar gaya aaKHir
mujhe junun tha taron ko toD lane ka
magar main KHud hi KHala mein bikhar gaya aaKHir
tamam 'umr ke dukh-sukh ko banT kar ai 'rind'
mera ghanim mere sath mar gaya aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.