daraKHt ab kis ka rasta dekhte hain
daraḳht ab kis kā rasta dekhte haiñ
musāfir manziloñ ke ho ga.e haiñ
ḳhudā jaane huī hai baat kaisī
muḳhālif sab ke sab apne hue haiñ
vahāñ to ishq hai ik khel goyā
yahāñ to jaan ke laale paḌe haiñ
kahīñ gūñjā hai koī qahqaha kyā
fazāoñ meñ bhañvar se paḌ rahe haiñ
isī duniyā meñ haiñ kitnī hī duniyā
sabhī ke apne apne mas.ale haiñ
hamāre zehn to maflūj the hī
hamāre dil bhī patthar ho ga.e haiñ
darīche band darvāze muqaffal
bayābāñ ke magar raste khule haiñ
kahāñ 'fārūq' raushan ḳhvāb hoñge
hamārī āñkhoñ meñ to ratjage haiñ
daraKHt ab kis ka rasta dekhte hain
musafir manzilon ke ho gae hain
KHuda jaane hui hai baat kaisi
muKHalif sab ke sab apne hue hain
wahan to ishq hai ek khel goya
yahan to jaan ke lale paDe hain
kahin gunja hai koi qahqaha kya
fazaon mein bhanwar se paD rahe hain
isi duniya mein hain kitni hi duniya
sabhi ke apne apne masale hain
hamare zehn to mafluj the hi
hamare dil bhi patthar ho gae hain
dariche band darwaze muqaffal
bayaban ke magar raste khule hain
kahan 'faruq' raushan KHwab honge
hamari aankhon mein to ratjage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.