daraKHt dhup se laDta hai is qadar din-bhar
daraḳht dhuup se laḌtā hai is qadar din-bhar
phaloñ se shāḳhoñ se rahtā hai be-ḳhabar din-bhar
na ābshār na panchhī na jānvar na daraḳht
ajiib dasht meñ kartā rahā safar din-bhar
Dhalī jo shaam to bachche sā so gayā sūraj
dikhā rahā thā ka.ī tarah ke hunar din-bhar
mire nasīb meñ kyā aur kuchh likhā hī nahīñ
safar meñ rahtā huuñ ghar par maiñ rāt-bhar din-bhar
saverā hote hī sab kaam par nikalte haiñ
udaas udaas sā rahtā hai merā ghar din-bhar
qubūl kaise duā ho bhalā charāġhoñ kī
ki apnī jaan bhī rah jaa.e mo'atabar din-bhar
daraKHt dhup se laDta hai is qadar din-bhar
phalon se shaKHon se rahta hai be-KHabar din-bhar
na aabshaar na panchhi na jaanwar na daraKHt
ajib dasht mein karta raha safar din-bhar
Dhali jo sham to bachche sa so gaya suraj
dikha raha tha kai tarah ke hunar din-bhar
mere nasib mein kya aur kuchh likha hi nahin
safar mein rahta hun ghar par main raat-bhar din-bhar
sawera hote hi sab kaam par nikalte hain
udas udas sa rahta hai mera ghar din-bhar
qubul kaise dua ho bhala charaghon ki
ki apni jaan bhi rah jae mo'atabar din-bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.