darbar mein jab arz-e-hunar aur tarah ki
darbār meñ jab arz-e-hunar aur tarah kī
sultāñ ne mire fan kī qadar aur tarah kī
dekhā jo zamāne ne mujhe tirchhī nazar se
maiñ ne bhī zamāne pe nazar aur tarah kī
miltā hī na thā koī mujhe ek tarah kā
maiñ ne bhī to umr apnī basar aur tarah kī
shāhāñ ne bahut raah pe laanā mujhe chāhā
merī bhī tabī.at thī magar aur tarah kī
manzil jo mirī dūsre logoñ se alag thī
aise hī na thī merī Dagar aur tarah kī
lafzoñ se sadā kaam liyā maiñ ne zirah kā
talvār mirī aur sipar aur tarah kī
kuchh aur the yāsir mire paiġhām ke tevar
aa.ī thī udhar se bhī ḳhabar aur tarah kī
darbar mein jab arz-e-hunar aur tarah ki
sultan ne mere fan ki qadar aur tarah ki
dekha jo zamane ne mujhe tirchhi nazar se
main ne bhi zamane pe nazar aur tarah ki
milta hi na tha koi mujhe ek tarah ka
main ne bhi to umr apni basar aur tarah ki
shahan ne bahut rah pe lana mujhe chaha
meri bhi tabiat thi magar aur tarah ki
manzil jo meri dusre logon se alag thi
aise hi na thi meri Dagar aur tarah ki
lafzon se sada kaam liya main ne zirah ka
talwar meri aur sipar aur tarah ki
kuchh aur the yasir mere paigham ke tewar
aai thi udhar se bhi KHabar aur tarah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.