dard aaKHir kahan se uThta hai
dard āḳhir kahāñ se uThtā hai
dil-e-shorīdagāñ se uThtā hai
kar de tū paak but se ka.aba-e-dil
dil na ishq-e-butāñ se uThtā hai
jis ko chun le tirī ye chashm-e-nāz
kab tire āstāñ se uThtā hai
ye mohabbat hai rāz-e-sar-basta
vajd āshuftagāñ se uThtā hai
kar atā mujh ko ab yaqīñ kāmil
shak sā harf-e-gumāñ se uThtā hai
dard aaKHir kahan se uThta hai
dil-e-shoridagan se uThta hai
kar de tu pak but se kaba-e-dil
dil na ishq-e-butan se uThta hai
jis ko chun le teri ye chashm-e-naz
kab tere aastan se uThta hai
ye mohabbat hai raaz-e-sar-basta
wajd aashuftagan se uThta hai
kar ata mujh ko ab yaqin kaamil
shak sa harf-e-guman se uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.