dard ab had se guzar kar la-dawa hone ko hai
dard ab had se guzar kar lā-davā hone ko hai
aap kī ulfat meñ dekheñ aur kyā hone ko hai
aap ke abrū-e-pur-ḳham ke karishme al-amāñ
ik ishāre meñ na jaane kyā se kyā hone ko hai
be-hayā.ī daur-e-hāzir kī ye kahtī hai mujhe
husn parde se nikal kar bad-numā hone ko hai
taare Takrāne ko haiñ aur zalzale aane ko haiñ
az-zamīñ-tā-āsmāñ mahshar bapā hone ko hai
raat din kaTtī hai ab umr-e-azīz is fikr meñ
hashr meñ pesh-e-ḳhudā 'ḳhurshīd' kyā hone ko hai
dard ab had se guzar kar la-dawa hone ko hai
aap ki ulfat mein dekhen aur kya hone ko hai
aap ke abru-e-pur-KHam ke karishme al-aman
ek ishaare mein na jaane kya se kya hone ko hai
be-hayai daur-e-hazir ki ye kahti hai mujhe
husn parde se nikal kar bad-numa hone ko hai
tare Takrane ko hain aur zalzale aane ko hain
az-zamin-ta-asman mahshar bapa hone ko hai
raat din kaTti hai ab umr-e-aziz is fikr mein
hashr mein pesh-e-KHuda 'KHurshid' kya hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.