Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard aisa diya ehsas-e-wafa ne hum ko

Amanullah Khalid

dard aisa diya ehsas-e-wafa ne hum ko

Amanullah Khalid

MORE BYAmanullah Khalid

    dard aisā diyā ehsās-e-vafā ne ham ko

    na davā ne shifā na duā ne ham ko

    ye to sahrā havā.eñ haiñ gila kyā un

    ḳhuub jhulsāyā hai gulshan sabā ne ham ko

    soz-e-āfāq ehsās bhī ham ko na huā

    itnā behosh kiyā terī adā ne ham ko

    duur hotā gayā chehra-e-manzil ham se

    raah dikhlā.ī hai vo rāh-numā ne ham ko

    dekhtī rahī ye aql tamāshā-e-junūñ

    jab bhī majbūr kiyā ahd-e-vafā ham ko

    zulf-e-idrāk chhupātī ruḳh-e-hastī kab tak

    āḳhirash thaam liyā dast-e-fazā ne ham ko

    Duubī kashtī jo hamārī lab-e-sāhil 'ḳhālid'

    nā-ḳhudā ne nahīñ dekhā ki ḳhudā ne ham ko

    dard aisa diya ehsas-e-wafa ne hum ko

    na dawa ne hi shifa di na dua ne hum ko

    ye to sahra ki hawaen hain gila kya un ka

    KHub jhulsaya hai gulshan ki saba ne hum ko

    soz-e-afaq ka ehsas bhi hum ko na hua

    itna behosh kiya teri ada ne hum ko

    dur hota hi gaya chehra-e-manzil hum se

    rah dikhlai hai wo rah-numa ne hum ko

    dekhti hi rahi ye aql tamasha-e-junun

    jab bhi majbur kiya ahd-e-wafa hum ko

    zulf-e-idrak chhupati ruKH-e-hasti kab tak

    aaKHirash tham liya dast-e-faza ne hum ko

    Dubi kashti jo hamari lab-e-sahil 'KHalid'

    na-KHuda ne nahin dekha ki KHuda ne hum ko

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now