dard-angez hai is tarah se us ka jaana
dard-angez hai is tarah se us kā jaanā
jaise ik jism se ik ruuh kā khīñchā jaanā
tum ne kuchh pūchhā na samjhā na irāda jaanā
mujh ko bas ek mulāqāt meñ kitnā jaanā
merī tanhā.ī-pasandī kahāñ le aa.ī mujhe
der tak sochnā chup rahnā phir uktā jaanā
bas vo guzre hue lamhoñ kī thakan hotī hai
log kahte haiñ jise aañkh kā pathrā jaanā
terī ḳhairāt bas itnī hai samajh paa.e agar
ik savālī kā savālī ko navāzā jaanā
TuuT jā.egā mirī zaat kā phir saarā tilism
ab agar tū ne mujhe mujh se ziyāda jaanā
fikr kī dhuup ne ye haal kiyā hai 'bismil'
jaise ik phuul kā be-vaqt hī murjhā jaanā
dard-angez hai is tarah se us ka jaana
jaise ek jism se ek ruh ka khincha jaana
tum ne kuchh puchha na samjha na irada jaana
mujh ko bas ek mulaqat mein kitna jaana
meri tanhai-pasandi kahan le aai mujhe
der tak sochna chup rahna phir ukta jaana
bas wo guzre hue lamhon ki thakan hoti hai
log kahte hain jise aankh ka pathra jaana
teri KHairaat bas itni hai samajh pae agar
ek sawali ka sawali ko nawaza jaana
TuT jaega meri zat ka phir sara tilism
ab agar tu ne mujhe mujh se ziyaada jaana
fikr ki dhup ne ye haal kiya hai 'bismil'
jaise ek phul ka be-waqt hi murjha jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.