dard ashkon mein Dhal bhi sakta hai
dard ashkon mein Dhal bhi sakta hai
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
dard ashkoñ meñ Dhal bhī saktā hai
dil kā patthar pighal bhī saktā hai
tum se mil kar ab aa gayā hai yaqīñ
koī mujh ko badal bhī saktā hai
dar-e-hākim pe soch kar de sadā
kāsa-e-sar uchhal bhī saktā hai
muntazir huuñ ye jānte hue bhī
rāsta vo badal bhī saktā hai
le maiñ hāzir huuñ chal uThā ḳhanjar
terā armāñ nikal bhī saktā hai
tū jo chāhe to kā.enāt kā ġham
mere sāġhar meñ Dhal bhī saktā hai
vaqt badlā to nā-tavāñ dushman
muuñg chhātī pe dil bhī saktā hai
kyoñ hai maġhrūr us bulandī par
tū jahāñ se phisal bhī saktā hai
shā'irī sahl to nahīñ 'ambar'
dam tumhārā nikal bhī saktā hai
dard ashkon mein Dhal bhi sakta hai
dil ka patthar pighal bhi sakta hai
tum se mil kar ab aa gaya hai yaqin
koi mujh ko badal bhi sakta hai
dar-e-hakim pe soch kar de sada
kasa-e-sar uchhal bhi sakta hai
muntazir hun ye jaante hue bhi
rasta wo badal bhi sakta hai
le main hazir hun chal uTha KHanjar
tera arman nikal bhi sakta hai
tu jo chahe to kaenat ka gham
mere saghar mein Dhal bhi sakta hai
waqt badla to na-tawan dushman
mung chhati pe dil bhi sakta hai
kyon hai maghrur us bulandi par
tu jahan se phisal bhi sakta hai
sha'iri sahl to nahin 'ambar'
dam tumhaara nikal bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.